Pages

Sunday, October 10, 2010

MUSLIM SCIENTIST (URDU)

YE ZAMANA ILM KA HAI AUR NAI EJADAT (INVENTIONS) KE HAWALE SE SCIENCE KA ZAMANA HAI . AIK ANDHA (BLIND) BHI IS HAQEEQAT SE INKAR NAHI KER SAKTA  KE MOUJODA ZAMANE KI SARI TARRAQI RESEACH AUR ILM PER QAIM HAI .QOUM KE UROJ AUE ZAWAL KI TAREEKH YE WAZIHA TOR PER YE INKISHAF KERTI HAI KE JIN NATIONS NE JID-O-JEHAD NAHI KI WO ILMI KHAZANO SE DOOR HO GAIN AUR RUSWAI UNKA MUQADDAR BAN GAYA .

1400 SAAL PEHLE DUNYA MAIN SIRF JEHALAT THI HER TARAF FASAD THA . JIHALAT KI IS SE ZIYADA AUR KIA MISAL HO SAKTI HAI KE WALIDAIN APNI AULAD KO QATAL KER DIYA KERTE THAY . BE-HAYAI AUR FAHASHI AAM THI . JAB ZAMEEN FASAD SE BHAR GAI TO INSAN NE INSANIYAT KO CHOR KER HEWANIYAT APNA LI THI TO ALLAH TALA NE ZAMEEN KO DOBARA PUR-SUKOON BANANE KE LIYE APNE MEHBOOB BANDE HAZARAT MOHAMMED MUSTAFA (SALLALLA-HU-ALAIHI-WASSALAM) KO ZAMEEN PER PAIDA FERMAYA AUR PHIR NABI-E-KAREEM (SALLALLA-HU-ALAIHI-WASSALAM)  NE AJEEB-O-GHAREEB . HERAT-ANGAIZ TOR PER ALLAH TALA KI NISHANIYON KO KHOL KHOL KER IS TARAH BAYAN KIA KE IBTIDAI DOOR MAIN ZAMEEN-O-AASMAN KI HAQEEQAT ARBON  PER ZAHIR HO GAI.
                          QURAN-E-KAREEN NE BATAYA: (TRANSLATE INTO URDU)

BE-SHAK ZAMEEN-O-AASMAN KI PEDA'EISH AUR RAAT DIN KE BAAR BAAR ZAHIR AUR CHUPNE MAIN AQALMAND LOGON KE LIYE NISHANIYAN HAIN .JO LOG UTH'TE BETH'TE AUR LETE HUE ALLAH KO YAAD KERTE HAIN AUR AASMAN AUR ZAMEEN KI TAKHLEEQ PER GHOR AUR FIKAR KERTE HAIN PHIR KEHTE HAIN KE:ALLAH TO NE YE SAB FUZOOL NAHI BANAYA HAI AUR HAMEIN DOZAKH KI AAG SE MEHFOOZ KERDE.   (SORAH AL-IMRAN AYAT NO: 190-191)

ARAB QOUM MAIN JAB ILM AA GAYA AUR JAB MUSALMAN ILM KI TALASH MAIN NIKAL PARE TO UNHON NE ILM KA KOI SHUBA NA CHORA AUR UNKI RESEARCH PORI DUNYA KE LIYE HERAT-ANGAIZ BHI HAI AUR SABAK-AAMOZ BHI .
MAGHRIBI MUMALIK KI LIBERARIES AAJ BHI MUSALMAN SCIENTIST KI BOOKS SE BHARI PARI HAIN YE WO MUSALMAN THAY JINHON NE APNI RESEARCHES KI ZAREEYE ALAM-E-ISLAM MAIN US WAQT ROSHNI PHEELAI JAB DUNYA JIHALAT KI TAREEKI MAIN DOOBI HUI THI IN MAIN KUCH KE NAME YE HAIN :

ABDUL MALIK ASMAI : ISNE MATHEMATICS . ILM-E-NABATAT . ZOLOGY . INSAN KI PAIDA'EISH (THE CREATION OF MAN) PER RESEARCH KI AUR YE SCIENCE KE PEHLE BANI THAY .

JABIR BIN HAYAN : INKI BOOKS KI TRANSLATIONS KER KE 15TH CENTUARY TAK DUNYA KI MUKHTALIF UNIVERSITIES MAIN PARHAI JATI RAHEN INHON NE CLOTHS WATER PROOF . IRON KO ZANG SE MAHFOOZ RAKHNE KE TAREEKE AUR SHEESHA (MIRROR) KO RAGEEN KERNE KA  TREEKA EJAD KIA.

MOHAAMED BIN MOOSA : NE MATHS MAIN "0" (ZERO) KA IZAFA KIA AUE SITARON KE MAPS BANA'EY AUR GUGHRAFIC PER RESEARCH KI.

ALI-IBNE-SUHAIL : FIRDOUS-UL-HIKMAT KE NAAM SE SAB SE PEHLE "TIB" PER AIK/1 COMPLETE BOOK LIKHI.

YAQOUB BIN ISHAQUE AL-KUNDI : ISNE ILM-E-FALKIYAT .CHEMISTRY .MUSIC AUR PHYSICS MAIN MAHIR THA AUR YE 265 BOOKS KE WRITTER BHI HAIN.

ABU-AL-QASIM ABBAS : HAWA MAIN URNE KE TAJURBEY KERTA RAHA UNKI KOSHISH'EN AEROPLNE BANANE KE LIYE BEHTER SABIT HUEIN AUE DHOOP GHARI (SUN-WATCH) INKI INVENTION HAI.

SABIT BIN QURRAH : LIVER AUR GEAR EJAD KIYE AGER YE EJAD NA HOTE SHAYAD AAJ HAM BARI MACHINE KE ZARIYE NAI NAI INVENTIONS NAHI KER SAKTE THAY.

ABU BAKAR MOHAMMAD BIN ZAKARIYA : KO SURGERY MAIN MASTER THAY OPERATION KE BAD SKIN KO SEENE TA TAREEKA BHI USI KI EJAD HAI.

ABU AL HASSAN AL-MASOODI : SAB SE PEHLA AADMI HAIN JIS NE BATAYA THA KE ZAMEEN KI JAGAH SAMANDER THA AUR SAMANDER KI JAGAH ZAMEEN . YE BAT USNE US WAQT BATAI THI JAB PAIMAESH KE LIYE KOI SCIENCE WEAPON NAHI THAY.

ABN-E-SEENA : MEDICAL SCIENCE MAIN MASTER THAY USNE ILM-UL-ABDAN KA MAP BANAYA AUR USKE ALAG ALAG PICTURES BANAI . PRESENT MEDICAL SCIENCE MAIN ANATOMY UNHI KI BOOK KI TRANSLATE HAI .UNHON NE JISMANI HARAT NAPNE KA TAREEKA EJAD KIYA THA JO AAJ BHI HAMARE PAAS THERMOMETER KI SORAT MAIN MOJOUD HAI .

ABU NASAR AL-FARABI - : NE MUSIC KA AIK AYSA AALA BANAYA THA KE JISKI AWAZ SUN'NE WALA KABHI HANSTA THA KABHI ROTA THA AUR KABHI SO JATA THA.

IN BAYAN KERDA SCIENTISTS KE ILAWA BHI 20 SCIENTIST AYSE HAIN JINHON NE RESEARCH KE BAD SCIENCE KI BUNYAD RAKHI .
ARAB SE PEHLE EUROPE , AMERICA , MISAR , AUE ASIA KE MIMALIK MAIN MAIN SCIENCE KA KOI AMAL DAKHAL NAHI THA THORA BUHAT 'UNAN" MAIN ILM THA .

ILMI RESEARCH AUR NAI EJADAT HAMRE NABI (SALLALLA-HU-ALAIHI-WASSALAM) KI TALEEMAT KA NATEEJA HAIN . QURAN-E-PAK NAZIL HONE KE BAD ARAB JAB ILM SE BHAR GAYA TO US WAQT BHI MAGHRIBI MUMALIK MAIN TEHZEEB AUR CULTURE KA NAAM-O-NISHAN TAK MOJOUD NA THA AUR RUSSIA KE AWAM INSANI KHOPRIYON (BRAIN) MAIN PANI PETE THAY.

NABI-E-KAREEM (SALLALLA-HU-ALAIHI-WASSALAM) ILM-E-QURAN SE INSANON KI ZINDAGI BADAL DI QURAN AUR USKE BATAYE HUE ILM PER CHAL KER SIRF 50 SAAL KI MUDDAT MAIN MUSALMANON NE AADHI SE ZIYADA DUNYA FATAH KERLI. AUR DUNYA BHAR KI SALTANAT MUSALMNON KE QADMON MAIN AA GAEIN. QURANI AAYAT KE ANWAAR SE ROSHAN DIL MUSALMANON NE DUNYA MAIN INQILAB PAIDA KER DIA .

QURANI NAZARIYE KE MUTABIK MUSALMONON KI LIKHI HUI BOOKS KI TRANSLATIONS KO DUNTA BHER MAIN AYSA MAQAM MILA KE UNVERSITIES QAIM HO GAIN MUKHTALIF ULOOM PER LIKHI BOOKS DUNYA BHAR KI UNIVERSITIES MAIN 400 SAAL TAK PARHAI JATI RAHEIN EUROPE KE TAMAM WRITTERS IS BAAT PER MUTTAFIK HAIN KE AGER ARAB NA HOTE TO EUROPE ILM KI ROSHNI SE MEHROOM REH JATA .

5TH AUR 6TH CENTUARY KE BAAD MUSALMANON KA ILMI ZAWAL SHURU HUA . MUSLIM QOUM QURAN AUR USKI RESEARCH SE DOOR HO GAI AUR QURAN KI ZUBAN MAIN HASIL SHUDA ULOOM KO BHULA BAITHAY JISKE NATEEJE MAIN MUSALMAN QURANI ILM MUSALMNON SE DOOR HO GAYA .

JOB KOI QOUM FIKAR . ILM . RESEARCH . HIKMAT . AQAL . SE MEHROOM HO JATI HAI TO DIVID HO JATI HAI AUR FIRQON MAIN TAQSEEM HO JATI HAI AUR UN MAIN IJTIMAIYAT KHATAM HO JATI HAI.       ....     ASIF JAMALI

No comments:

Post a Comment